Bairan Neend Na Aaye Lyrics - Chacha Zindabad (1959) - Hindi Movie Song
by MrBeans[ Edit ] 2010-03-31 21:23:15
Bairan Neend Na Aaye Lyrics - Chacha Zindabad (1959) - Hindi Movie Song
bairan neend na aaye -2
mohe bairan neend na aaye
mora jiya ghabaraaye
bairan neend na ...
sooni padi meri palakon ki galiyaan -2
kaun khilaaye nindiya ki kaliyaan
apane bhi hain paraaye
mohe bairan neend ...
laakh jatan karoon aankh na laage -2
so gaeen kushiyaan aur gam jaage
ghaayal man kit jaaye
mohe bairan neend ...
yaad aayen jab pyaar ki baaten -2
aur bhi lambi ho jaayen raaten
bhor nazar nahi aaye
mohe bairan neend ...
Bairan Neend Na Aaye Lyrics - Chacha Zindabad (1959) - Hindi Movie Song